Bahut Madhesi kah rahe hain, ye to rajnitik kam kar raha tha, ab ye kahta hai businessman ban gaye. Career change kyun kiya? Career change nahin kiya, bhai. Internet access is the voting right for this 21st century. Sab log Amrika nahin aa sakte hain, lekin America mein jo educational, business opportunities hain wo sabo ko broadband ke marfat le jaya ja sakta hai. Ye sirf Madhesh, ya Nepal, ya India level ki baat nahin hai. Ye pure Third World ki baat hai, ye Global South ki baat hai. Mahatma Gandhi ne Indian independence ki baat ki, Martin Luther King ne kaha voting rights for black people. Lekin wo to half century purani baat hai. India independent ho chuka. America mein blacks ko voting rights hi kya, kala admi Obama rashtrapati hi ban gaya. Purani manjil mil jaye to nayi manjil khojni parti hai.
Ab prasn ye hai ki First World aur Third World, yane ke West aur Global South ke beech jo itni badi khai hai, us khai ko kam kaise karein? Us ka uttar hai broadband. Ek samay aisa ayega jab ki First World, Third World naam ki koi classification banki nahin rah jayegi.
Jab pahli Madhesi kranti huwee to New York mein Ashok Gurung ne New School mein karyakram kiya. Lekin jo Madhesi gan hain wo Tara Bahun ke pichhe pichhe chale gaye Long Island Satya Narayan ka pooja karne. Kaisi ajeeb baat ho gayee? Are yaar, Nepal mein log shahid ho rahe hain, aur tumhe abhi hi pooja karni thi Satya Narayan ki? Ek hota hai prejudice, ek hota hai internalized prejudice. Mental slavery jo hai wo internalized prejudice ka hi judwa bhai hai.
IC
Nepal mein Madhesi ke prati bhedbhav na hota to New York ke 30,000 Nepali mein kam se kam 10,000 Madhesi hote. Lekin muskil se 100 bhi nahin hain. To New York mein maine dekha hai Jewish log bahut hain, Tel Aviv se jyada Jewish New York mein hain. To un logo ko bhi bahut sataya gaya, 2000 sal tak sataya, Holocaust mein to adha ko jala hi diya Hitler ne, abhi bhi anti-Semitism hai. To uske response mein wo log ek dusre ke extra close ho jate hain. Usi tarah hum New York ke Madhesiyo ko chahiye extra close ho jayen. Us closeness ka early stage main anubhav kar raha hoon. Wo khushi ki baat hai.
Lekin Madhesi kranti ka nabj real time mein na padh sakne bale ab next step ko miss kar rahe hain. Next step hai Madhesi partiyon ka unification. Us ke baad ka step hai national ambition. Usi tarah aap next step, next step karte jayenge to aap ko meri tech startup samajh mein aa jayegi.
Mere ko London ka ek investor contact kiya, maine use contact nahin kiya, usi ne mujhe Facebook par contact kiya. Ki mere ko aap ke company mein invest karni hai. Maine online ja ke check kiya, o jis venture capital firm ke liye kaam karta hai to us ke bare mein jankari li. Bahut bada firm hai maloom huwa. Main thora hichak gaya. Kahen to maine late 1990s se hi ye dekha hai. Jo investor bahut paisa invest karte hain o kabhi kabhi aap ka valuation kharab kar denge. Kahenge lo panch million, aur badle mein mujhe company ka 30% ownership do. Wahan mamla gadbad ho jati hai.
Ek huwa karta tha Kozmo.com. Manhattan mein aap DVD, pizza order karo online ja ke, wo aap ko deliver karti thi. Us ne late 90s mein bahut fundraising ki, lagbhag 200 million. Lekin us ke founders ne kya galtee ki, company un investor ko de diya. Yani ki founder hai CEO, lekin ab wo owner nahin, 200 million raise karne ke baad ek jobholder ho ke rah gaya. Wo galtee main duhrana nahin chahta. Huwa kya wo company dub gaya. Ek hote hain venture capitalist, ek hote hain vulture capitalist. Wo jo London ka investor mere to contact kiya, usko main vulture capitalist nahin bol raha hun. Usne mujh se ye promise karbaya ki when you are ready for round three, promise me you will call me. To maine kaha I promise.
IC
Bahut log ye round 1, round 2, round 3 bala baat nahin samajhte hai. Hum Madhesi pichhde jaat hain. Kirana dokan samajhte hain, paan dokan samajhte hain, tech startup nahin samajhte hain. Kirana dokan mein kya hota hai? Poonji lagao, jao saman kino wholesale mein, uske baad bechna shuru kar do, revenue aane lagta hai. Lekin tech startup mein waisa nahin hota hai. Round 1 paisa raise karo, round 1 ka kaam karo. Round 1 ka kaam dikha ke us ke bal par round 2 paisa raise karo. Round 2 kaam karo. Usi tarah round 3 fundraising karo. Round 4 mein ja ke balla balla revenue ane lagta hai. Tab ja ke round 5, 6 mein ja ke company ko stock market par list karo. Waise hota hai. Ye kirana dokan thore hai, ye to tech startup hai.
Log kahenge London ka investor jo millions invest karta us ko wait, wait bol diya is aadmi ne, aur hum logo se do hajar, panch hajar mag raha hai. To wo aap samajhne ka prayas kijiye. Ye round 1, round 2, round 3 ka khel hai. Agar mera round 3 secure hai to wo aap ke liye good news hai. Is ka matlab company age badhega.
Nahin to tech startup ka dusra khel hai agar company duba to aap ka paisa duba. Utna aap risk le rahe hain. Ye high risk, high gain wali baat hai. Wo to main jhooth nahin bolunga. Saf baat. Lekin nahin dubega. Late 1990s dot coms bahut dube. Ek do mein main bhi founding member tha. Lekin main kabhi bhi top byakti us samay nahin tha. Ye pahla startup hai jis mein top byakti main hoon, aur main full responsibility le ke age badh raha hoon.
IC
Kuchh Madhesi kahte hain hum to gareeb hain, paisa nahin hai, kaise invest karein? Are yaar, mera round 1 investment opportunity waise hi gareeb logon ke liye hai. Ye aap ke jindagi mein antim mauka hai jab aap ko ek aise company ke jo 10 saal ke under Nasdaq par listed rahega us ke round 1 mein aane ka invitation aap ko mil raha hai. Banki jindagi aap ko dusra mauka nahin milega.
Maine kaha jo aadmi mere round 1 mein 10,000 dollar invest karega uska 10,000 jo hai so 30 saal mein 300 million ban chooka rahega. Wo main kis ke bal par kah raha hoon? To mere se 30-40 sal pahle jo company shuru huwe, un companiyon mein round 1 mein 10,000 invest karne walo ka wahi haal huwa, 30 saal baad wo 10,000 jo hai so 300 million bana. To wo to history hai. Main badha chadha ke nahin bol raha hooon.
North America ke sab se paisa wale Nepali kahlate hain hamare Toronto ke Adityaji. Wo bhi Mahottari ke, hum bhi Mahottari ke. To unhone apna company becha Sun ko 100 million mein. Char partner the, to unko 25 million mila hoga. Us mein Toronto Film Festival bagairah mein kharcha warcha kiye, kitna banki hai wo to wo jane aur bhagban jane. Chhote mote company kharid liye jate hain, bade company Nasdaq par jate hai. Mera company Sun category ka company huwa. Wo Nasdaq par jayega. Mahottari ke aur hain, Bhatauliya ke Hari Mahaseth. To maine unko kaha, doctor ho gaye hain, talab hai saal ka 110,000, to agar Adityaji ka net worth exceed karna hai to mere company mein 10,000 invest kariye aur usko 30 saal chhod dijiye. Mahottari se sirf ek millionaire kyon ho, dusra aap bhi ho jaiye. To wo Madhesiya kanmanchhanman kiye hai. Babysitter ko paisa dete hain, mere to nahin dete hain. Jab ki main bhi to unko investment ke mamle mein babysitting hi to kar raha hoon.
Adityaji ko kaha maine bahut pahle aap 100,000 par aa jaiye. I will make you more money than Sun. Wo nahin aaye. Wo sonche honge tens of millions to hai hi mere paas, hundreds of millions le ke kya hoga? Kitna film festival sab sponsor karte rehein?
Upendraji ko ana chahiye kam se kam 10,000 mein lekin wo aaye 2,000 mein. No complaints. Maine do hi manga, to wo apne bhai Surendra ke naam se do invest kiye. Surendraji, 30 saal baad aap apna 60 million cash kar lenge.
IC
Ek hain California mein Ram Shah, sunte hain real estate main bahut kamaye huwe hain. Unko bhi offer kiya 2,000 par aa jaiye. Nahin aaye. Ratan Jha nahin aye. Ajeeb log hain. Hum ko lagta hai un dono ka gurmintee chalta hai.
Main Nobel Peace Prize 2010 ka dabedar hoon. Nobel jitna hai, jitne ke baad Larry Ellison ko approach karna hai, 30 million aap invest karo, now I need to hit production and distribution in a major way.
Agar aap round 1 mein nahin aaye to round 2, round 3 mein nahin aa sakte hain. Then you have to wait until after the company goes public. Law hai. Round 2 and on sirf license prapt investor aa sakte hain, jaise wo London wala Andy.
To main America, Canada, Russia ke Madhesiyon ko ek baar phir se apeel karta hoon aap 2K and above par mere round 1 mein aa jaiye. Nahin aaye to 10 saal ke under aap matha thokiyega. Subbhash Chandra Bose ne kaha, tum mujhe khoon do main tumhe ajadi doonga. Main to khoon nahin mang raha, sirf thora investment mang raha hoon. Tum mere round 1 mein invest karo, main tumhe national aur global level par ka equality doonga. Main tumhe malamal kar doonga.
Upendraji aur mere mein ye pharak hai ke wo bahut kiye, legend aadmi hain, lekin Nasdaq par kuchh list nahin kiye, hum karenge.
IC
IntroductionNY Tech MeetUp Mailing List Web 5.0 Controversy
Between You and Andy Knell
Andy Knell
4:45pm September 16th
HI Paramendra,
I got your details from the “Investment Banking Professionals” network group. I work with a London based corporate finance house 'Carpe Diem Corporate'. We hold mandates for funding and investment opportunities across Europe, Asia, Africa and the Middle East. This includes debt, equity, and listings, as well as large and small ticket sales.
It would be very useful to know which area of IB you work in and whether it would be pertinent to share with you our current summary of mandates.
Thank you
Andy Knell
Paramendra Bhagat
9:26pm September 17th
I have a young tech startup. Probably not of interest to you unless you help raise seed money.
Andy Knell
9:48am September 18th
We will consider seed capital business on an individual basis. You can see our range of services at: www.carpediemcorporate.co.uk
If you would like to discuss this further feel free to send me an executive summary: ______@carpediemcorporate.co.uk
Paramendra Bhagat
4:01pm September 18th
Sure. I am in.
Andy Knell
6:16pm September 18th
ok thanks.
----Original Message-----
From: Paramendra Bhagat [mailto:paramendra--gmail.com]
Sent: 19 September 2007 04:31
To: Andy Knell
Subject: Re: Your Facebook Email
http://www.geocities.com/paramendra/damien.html
Andy. I will make you rich. My IC company will define the next era of computing. Right now all I have room for is 100K in round 1. Seed money round. I burn that, reappraise and then go for round 2. Can you chip in 100K in a few steps, as in 10K, then 20K, and so on starting right away?
I am going to be bigger than Michael Dell. It will take me 10 years to get there, but I will get there.
Andrew Knell
8:00 am (10 hours ago)
to Paramendra Bhagat
date Sep 21, 2007 8:00 AM
subject RE: Your Facebook Email
Hi,
Have reviewed that link - we may be able to assist at the 3rd round of fundraising before this the numbers are too small for our client base.
Kind regards
Andrew
A Knell
for and on behalf of
Carpe Diem Corporate
E-mail: ______@carpediemcorporate.co.uk
Website: www.carpediemcorporate.co.uk
Corporate Finance Specialists, Company Acquisitions & Sales, Global Real Estate, Corporate Recovery, Listings (Pre-IPO's, IPO's, Reversals, and Shells).
Web 5.0 Is Da Bomb
Competing For the Web 3.0 Definition
NY Tech MeetUp: 02/03/09
Conceptually Diligent: Web 5.0 Is Repackaging Hello
Onto Digital Publishing
Mitch Kapor Now Following Me On Twitter
Defining Web 4.0
I Get Twitter
Indra Nooyi: Power Woman
1 comment:
Nextera Communications Speed Test
Post a Comment